Ek Patjhar Ja Raha Hai
Wednesday, June 01, 2005 | 2 comments
byGurinder Singh
Ek patjhar ja raha hai.
Ek patjhar ja raha hai.
Dard ke antim pahar mein
Asha ki chandni taley ullas ka sagar jhilmila raha hai
Ek patjhar ja raha hai.
Subah ke dhundalke mein lupt koi
Jeb me padi hansi khankhanaa raha hai.
Ek patjhar ja raha hai.
Raat ki hayat ka bujh chuka deepak,
Nabh mein sarson ke phool sa sooraj lahlahaa raha hai
Ek patjhar ja raha hai.
Wednesday, June 01, 2005 | permalink | 2 comments
_______________________________________
2 Comments:
Raat ki hayat ka bujh chuka deepak
Urdu aur hindi ki jugalbandi bahut khoobsoorati se ki hai apne. Beautifully pieced.
By Anonymous, at June 02, 2005 10:05 AM
Indeed.
The words give a very lucid taste of seasons coming and going. The vicissitudes are poetically clear.
By Majaz, at July 11, 2005 7:01 AM
Post a Comment